is kar-e-gah-e-rang mein hum tang nahin kya jo sar pe laga hai abhi wo sang nahin kya taswir ko taswir dikhai nahin jati is aaina-khane mein nazar dang nahin kya hai halqa-e-jaan apni wafaon ka tasawwur is dagh se aage koi farsang nahin kya har baat pe hum dete hain ghairon ka hawala apna koi aahang koi rang nahin kya bakhshe hue ek ghunt pe hum jhum rahe hain ab mang ke pina bhi koi nang nahin kya zakhm-e-dil-e-betab hai hathon mein niwala is baat pe duniya se meri jang nahin kya wo rang nahin shoala-e-ehsas mein 'baqi' hum saz-e-tamanna se ham-ahang nahin kya