dil mein mahbub ka ghar ho to ghazal hoti hai koi masjud-e-nazar ho to ghazal hoti hai naghma hota hai jawan rang-e-shikast-e-dil se aankh jab khun se tar ho to ghazal hoti hai soz fariyaad mein aae to kahan se aae tapish-e-soz-e-jigar ho to ghazal hoti hai zikr-e-mahbub hai paband-e-taqaddus kitna ba-wazu aankh agar ho to ghazal hoti hai tirgi ho to sitaron pe nikhaar aata hai sham mahrum-e-sahar ho to ghazal hoti hai nigah-e-shauq mein kaunain simat aate hain donon aalam ki khabar ho to ghazal hoti hai ras aati nahin is phul ko gulshan ki hawa zindagi khak-basar ho to ghazal hoti hai husn rangini-e-ashaar ka sar-chashma hai husn ka dil pe asar ho to ghazal hoti hai dil ki duniya jise kahte hain wo duniya hi 'tufail' dost ki rahguzar ho to ghazal hoti hai