malte hain hath, hath lagenge anar kab

malte hain hath, hath lagenge anar kab
joban ka un ke dekhiye hoga ubhaar kab

ushshaq muntazir hain qayamat kab aaegi
be-parda munh dikhaega wo parda-dar kab

ek roz apni jaan pe hum khel jaenge
tum puchhte rahoge yunhi bar bar kab

bekas ko kaun roe gharibon ka kaun hai
meri lahad pe shama hui ashk-bar kab

kaun aaya padhte fatiha kis ne chadhae phul
marne ke baad puchhta hai koi yar kab

ummid na-umid ko un se nahin rahi
dushman ke dost hain wo hue mere yar kab

jo unche unche hain wahi jate hain baam par
mahfil mein hum gharibon ko milta hai yar kab

jab naqd mal tu ne diya hum ne naqd-e-dil
saqi hamein bata de ki pi thi udhaar kab

milna chhudaya tum se mera rashk-e-ghair ne
karta hai koi aap se jabr ikhtiyar kab

'agha' ko zabh karte ho apni gali mein kyun
jaez hai meri jaan haram mein shikar kab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close