apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai husn ki murat ishq ka putla main hi main hun tu hi tu hai duniya se kya matlab mujh ko aalam se kya tujh ko talluq mera dilbar tera shaida main hi main hun tu hi tu hai chal kar phir kar dekha bhaala jaancha parkha samjha bujha sab se aala sab se adna main hi main hun tu hi tu hai zulm se rakkhe kaam hamesha dawe karta jae wafa ka kaun zamane mein hai aisa main hi main hun tu hi tu hai khun-e-jigar se qaul raha ye mere ashk-e-chashm-e-tar ka chadhta dariya bahta dariya main hi main hun tu hi tu hai tu hi tu hai main hi main hun aalam mein aalam se nirala duniya mein duniya se anokha main hi main hun tu hi tu hai dil na tujhe lena tha mujh se jaan mujhe deni thi na tujh par kaisa duniya bhar mein ruswa main hi main hun tu hi tu hai kaisi azra kaisi laila kaisa wamiq kaisa majnun ab mashhur jahan mein kya kya main hi main hun tu hi tu hai yun to hain mashuq hazaron yun to hain lakhon aashiq bhi lekin behtar nadir-e-yakta main hi main hun tu hi tu hai 'nuh' ye baaten mit jaengi tere mere mit jaane se chahne wala ishq-o-wafa ka main hi main hun tu hi tu hai