mitata hi raha khud ko rulata hi raha khud ko jala kar khat mohabbat ke bujhata hi raha khud ko chala kar phone mein shab bhar kahin jagjit ki ghazlen laga kar kash main cigarette ke jalata hi raha khud ko hua jo qatl khwabon ka baha aansu ka jo dariya to phir namkin pani mein dubota hi raha khud ko wo shair tha ya diwana ya koi gham ka mara tha akela shakhs tha aisa jo gata hi raha khud ko jo tuta dil 'musafir' ka to karke band kamre ko tarannum mein ghazal padh kar sunata hi raha khud ko