qarib se na guzar intizar baqi rakh

qarib se na guzar intizar baqi rakh
qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh

bikharna hai to faza main bikher de khushbu
haya nazar mein qadam mein waqar baqi rakh

hamein hamare hi khwabon se kaun rokega
khencha hua hai jo khatt-e-hisar baqi rakh

tera wajud ibarat hai khush-adai se
kashida-qamati-e-khush-gawar baqi rakh

khizan se sulh barat kyunki wo to aaegi
phir ehtimam se fasl-e-bahaar baqi rakh

ye kaj-kulah nae waqt ke na thahrenge
khinchi kaman mere shahryar baqi rakh

mite mite se nuqush-e-qadam hain kuchh baqi
ye khushbuon mein basi rahguzar baqi rakh

ye sard-o-garm jo mahaul ke taqaze hain
ba-chashm-e-nam nafas-e-shoala-bar baqi rakh

takan hai to sambhal ja magar na ungh kabhi
safar ki dhul badan ka ghubar baqi rakh

ana bikher na hargiz bacha ke rakh khud ko
har ek dar pe na daman pasar baqi rakh

ye nau-taraazi-e-mani bhi ek shai hai 'atiq'
riwayaton se bhi rishte sanwar baqi rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close