apne bhai se ye gham-KHwari misali hai meri

apne bhai se ye gham-khwari misali hai meri
apne haq se dast-bardari misali hai meri

apni barbaadi ke kaghaz par kiye hain dastakhat
sab qabile mein ziyan kari misali hai meri

dushmani ke qaedon se na-balad hun main magar
ye samajh len aap bhi yari misali hai meri

chithadon ke rauzanon se surkhiyon ki jhalkiyan
sadgi mein aisi purkari misali hai meri

aap ki shahi se apni ye faqiri come nahin
rakh aur patthar pe sardari misali hai meri

dil ki har diwar hi diwar-e-girya hai mujhe
ek dariya hun aza-dari misali hai meri

khush-gumani aur badh jaegi is ke war se
main wo mukhlis hun wafadari misali hai meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close