jaane apne sae se kyon aaj mujhe dar lagta hai jala hua is shahar ka har ghar apna hi ghar lagta hai kuchh itna chehra tuta hai ghaw kuchh itne khae hain phul bhi us ke hathon ka ab mujh ko patthar lagta hai jis se is nanhe bachche ki man bahnon ka qatl hua mausam-e-gul ka har ek manzar khuni manzar lagta hai waise to wo mera bhi mahbub dulara hai lekin us ki har ek baat se mere dil mein khanjar lagta hai dubi ubhri ubhri dubi har lamha har pal har roz 'asha' us ki aankhon mein ek gahra samundar lagta hai