apne bimar-e-mohabbat ki dawa ban jaiye dil dukhana chhod dije dilruba ban jaiye qaum ko gar lutna hai ba-saliqa lutiye chhodiye daka-zani aur rahnuma ban jaiye zindagi mein jo hua de denge mahshar mein jawab kabatullah jaiye aur parsa ban jaiye aaj ke mallahon par kije na bilkul e'tibar jab bhanwar mein aae kashti nakhuda ban jaiye jo jawani mein hua us ko bhula dije bhala aalam-e-piri hai 'makhfi' parsa ban jaiye