naqsh hai har zulm jis ka wadi-e-kashmir par

naqsh hai har zulm jis ka wadi-e-kashmir par
us ne dahshat-gard likkha amn ki taswir par

kahili ki lag gai dimak har ek tadbir par
iktifa karke wo shayad rah gaya taqdir par

tez rakhna dhaar apne hausle ki har ghadi
munhasir hai zindagi ki jang is shamshir par

rakh tawazun kuchh to waiz tu bhi qaul-o-feal mein
log girwida nahin hote faqat taqrir par

tin sau terah ke jaise shart hain ausaf bhi
fath na-mumkin hai khali nara-e-takbir par

kaise dastak de bhala koi khushi dar par mere
jab ghamon ka sanp aa kar chadh gaya zanjir par

khil utha har ek 'danish' ghuncha-e-ahl-e-sukhan
khun-e-dil chhidka jo hum ne gulshan-e-tahrir par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close