di mai-e-nab to ab saghar-e-jam bhi de de

di mai-e-nab to ab saghar-e-jam bhi de de
dil diya hai to mujhe tab-e-alam bhi de de

bar-e-sar kab se liye hum sar-e-maqtal hain khade
ba khuda ab to hamein izn-e-qalam bhi de de

husn par naz ka andaz-e-tabassum tauba
kyun na diwana tere ishq mein dam bhi de de

aise fan-kar pe lanat hai jo chand sikkon mein
dil bhi de zehn bhi de aur qalam bhi de de

shokh wo tishna-labi se meri khele hai 'qamar'
jam bhi pesh kare aur qasam bhi de de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close