badan ke rup ka ejaz ang ang thi wo mere liye to meri ruh ki tarang thi wo gulon ke nam khuli pith par meri likh kar khizan ke phailte lamhon se mahw-e-jang thi wo siyah ghataon se kirnen tarash leti thi meri hayat ki ek jagti umang thi wo wo zakhm-khurda-e-haalat khud rahi lekin tamam nikhat o naghma tamam rang thi wo na jaane kitne the 'shahin' us ke matwale agarche shakh mein uljhi hui patang thi wo