apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise lakh talwaren badhi aati hon gardan ki taraf sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise qahqaha aankh ka bartao badal deta hai hansne wale tujhe aansu nazar aaen kaise phul se rang juda hona koi khel nahin apni mitti ko kahin chhod ke jaen kaise koi apni hi nazar se to hamein dekhega ek qatre ko samundar nazar aaen kaise jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim' us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise