kam sitam karne mein qatil se nahin dil mera mere pahlu mein chhupa baitha hai qatil mera wasl mein yun mere pahlu ko na pahlu se daba tut jae na kahin aabla-e-dil mera qatl hone na diya us ki nazakat ne mujhe rah gaya apna sa munh le ke wo qatil mera un ko nashsha hai main be-khud hun yahi dar hai mujhe wo kahin haal na puchhen sar-e-mahfil mera hichkiyan aain dam-e-naza to qatil ne kaha ab to leta hai maze maut ke bismil mera waqt-e-akhir koi rota hai lipat ke mujh se ye inayat hai to marna bhi hai mushkil mera dekhna koi sar-e-arsh se tara tuta ya hasin aankh se zalim ki gira dil mera dast-basta ye kaho hazrat-e-'sahir' se 'wasim' aap chahen to khule uqda-e-mushkil mera