apne dar se jo uthate hain hamein khak mein aap milate hain hamein hai jo manzur jafa dar-parda munh wo ghairon mein dikhate hain hamein ghair ko pas bitha rakhte hain jab kabhi aap bulate hain hamein garmiyan ghair ko dikhla dikhla bazm mein aap jalate hain hamein shab-e-furqat mein falak ke tare dagh-e-dil yaad dilate hain hamein un ke andaz-e-sukhan hain malum ghair ko kah ke sunate hain hamein phir kisi gul pe hua dil mail dagh-e-taza nazar aate hain hamein chhod den aap ki hamrahi hum wah kya rah batate hain hamein tu hamein rah batae jis se ghair wo rah batate hain hamein itr-e-gul se nahin jab dil bharta apna rumal sunghate hain hamein shab ko afsana-e-dil kah ke 'asar' aap rote hain rulate hain hamein