jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai wo shakhs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai main wo musafir hun jis ka koi nahin thikana ye na-rasai ka zakhm mujh ko rula gaya hai musalahat ka padha hai jab se nisab main ne saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai wo fauj nahr-e-furaat par kyun bitha gaya hai main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun jo dher sari duaen de ke chala gaya hai