manzar ke sath sath badalne laga hun main raushan hue charagh to jalne laga hun main pau phutne mein waqt hai jaana hai mujh ko dur suraj se pahle ghar se nikalne laga hun main hairat ne meri aankh mein ek khwab rakh diya chashm-e-sitara-saz mein khulne laga hun main mera kamal dekhiye is dhup-dasht main ek aaine ka jism ujalne laga hun main manzil hi meri aur hai rasta bhi hai juda kyon karwan ke sath nikalne laga hun main ab bagh mein qayam se karna nahin gurez khushbu ke etakaf ko chalne laga hun main