apne didar ki hasrat mein tu mujh ko sarapa dil kar de har qatra-e-dil ko qais bana har zarre ko mahmil kar de duniya-e-husn-o-ishq meri karna hai to yun kaamil kar de apne jalwe meri hairat nazzare mein shamil kar de yan tur o kalim nahin na sahi main hazir hun le phunk mujhe parde ko utha de mukhde se barbaad sukun-e-dil kar de gar qulzum-e-ishq hai be-sahil ai khizr to be-sahil hi sahi jis mauj mein dube kashti-e-dil us mauj ko tu sahil kar de ai dard ata karne wale tu dard mujhe itna de de jo donon jahan ki wusat ko ek gosha-e-daman-e-dil kar de har su se ghamon ne ghera hai ab hai to sahaara tera hai mushkil aasan karne wale aasan meri mushkil kar de 'bedam' us yaad ke main sadqe us dard-e-mohabbat ke qurban jo jina bhi dushwar kare aur marna bhi mushkil kar de