di gai tartib-e-bazm-e-kun-fakan mere liye ye zamin mere liye hai aasman mere liye didani hai khud hi apne dil ke zakhmon ki bahaar hech hai rangini-e-har-gulsitan mere liye zauq-e-sajda chahiye kaisa haram kaisi kunisht aastan-e-dost hai har aastan mere liye jada-e-mehr-o-wafa mein mar ke zinda ho gaya maut hai meri hayat-e-jawidan mere liye azm-e-kaamil ko mere har-gam par manzil mili ban gain dushwariyan aasaniyan mere liye ho mubarak hazrat-e-zahid ko firdaus-e-jinan hai dayar-e-dost khuld-e-jawedan mere liye ham-nawaon ko mubarak halqa-e-zulf-e-butan muztarib zindan mein hongi bediyan mere liye