bakht kya jaane bhala ya ki bura hota hai kaif-o-gham zarf ke laeq hi ata hota hai ye wo bazar-e-kashakash hai jahan par insan hasb-e-taufiq kharidar-e-haya hota hai muddaton rahta hai jab aadmi zahmat-ba-kanar raaz-e-sar-basta mahakat ka wa hota hai dil hai dozakh mein kuchh is tarah tabassum-bar-lab jaise kanton mein koi phul khila hota hai be-talab roz ata karta hai kanton ko lahu kitna isar-pasand aabla-pa hota hai sab ko pairahan-e-gul ki hai tamanna lekin har nafas aish ka paigham-e-qaza hota hai aatish-e-batn mein gal jate hain khud-kaam shuyukh sahab-e-dard parastar-e-khuda hota hai teri rahmat se hai mahfuz anishshar banda warna insan to taswir-e-khata hota hai pahlu-e-zarra mein pinhan hai jahan-e-mani resha-e-sang mein aaina-sara hota hai ain ghurbat mein nikharta hai khudi ka jauhar nakhl-e-ausaf lahu pi ke hara hota hai sabr ki shakh mein lagta hai wo mitha mewa sab se duniya mein alag jis ka maza hota hai hum faqiron ko sahaare ki zarurat kya hai be sahaaron ka sahaara to khuda hota hai tera har sher hai 'bebak' amal ki dawat ya koi musi-e-imran ka asa hota hai