hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi koi bhi chiz nahin ghar ki salamat baqi main bhala hath duaon ko uthata kaise us ne chhodi hi nahin koi zarurat baqi us ne tute hue tukdon se bhi pahchan liya hai bikhar kar bhi miyan meri nafasat baqi be-nishan koi na ujde hue khandaraat rahen un mein rahti hai abhi ghar ki shabahat baqi pahle jazbaat chhalak padte the khamoshi se ab to lahjon mein bhi hai khali murawwat baqi khud ko aadat koi padne hi nahin deta hun meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baqi mere chhune se kali phul bani jati hai mere hathon mein abhi tak hai shararat baqi main nazar aaun to dikhta nahin suraj 'akhtar' ek hi rah gai chhoti si karamat baqi