apne dushman ko kabhi pyar nahin de sakte dast-e-qatil mein to talwar nahin de sakte in samar-dar darakhton se hamein kya hasil jo hamein saya-e-ashjar nahin de sakte un ki shaistagi-e-shauq hai takmil-talab apne jazbon ko jo mear nahin de sakte kyun talluq se pighal jata hai dil ka patthar raaz ye sahab-e-asrar nahin de sakte 'shahida' taj-mahal ab koi banta bhi nahin log aisa koi shahkar nahin de sakte