wo kaun hai duniya mein jo majbur nahin hai insan ko kisi baat ka maqdur nahin hai har shai pe tere husn ka jadu hai azal se kya chiz tere husn se mashur nahin hai mahkum bana leta bashar arz-o-sama ko lekin wo kare kya use maqdur nahin hai duniya mein use aish-o-masarrat na milenge wo dil jo gham-e-ishq se ranjur nahin hai mana ki haqiqat ko samajhna nahin aasan insan haqiqat se magar dur nahin hai hai sahab-e-iman ki kami ahl-e-jahan mein ek raaz bhi warna tera mastur nahin hai uttho ki zamane ko gunahon se bachaen jo din hai qayamat ka wo din dur nahin hai kuchh kijiye aamal sanwar jaen jahan mein kuchh sochiye ab waqt-e-qaza dur nahin hai tufan ki har mauj hai ek dars-e-haqiqat sahil pe pahunchna mujhe manzur nahin hai ehsas-e-sadaqat jo nahin ahl-e-talab mein chehron pe bhi iman ka wo nur nahin hai mana ki har ek ishrat-e-alam hai mayassar insan magar aaj bhi masrur nahin hai har qaum ka ehsas nahin jis ke amal mein dar-asl wo jamhur bhi jamhur nahin hai hai 'naz' ka har sher khud ek sham-e-farozan ye baat alag hai ki wo mashhur nahin hai