chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke dar se nikal sake na wo jazbaat mere andar se kabhi bhi shahr-e-tilismat-e-dil ki sair na ki har ek jalwa liya mustaar bahar se rahe hum apni hi gahraiyon se na-waqif utar saki na kabhi kai sath-e-dil par se sukun ki jannaten dozakh nahin aziyyat ka ajib haal hua aagahi ke mahshar se hamari bachchon si masumiyat hui zakhmi lahuluhan hua dil khirad ke patthar se nazar se dekh lo hum ret ke gharondon ko hamein na chhuo ki hum khokhle hain andar se hamari koshish-e-be-sud us ko kya pati husul jis ka tha mumkin faqat muqaddar se 'riyaz' sham dhali ab to ghar ko laut chalo tulu-e-subh se pahle ke nikle ho ghar se