apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan ye bhi na hum samajh sake apna koi yahan kahan un ke liye wo aasman mera guzar wahan kahan mere liye yahi zamin aaenge wo yahan kahan samna un ka jab hua aankhon ne jo kaha kaha dil mein hazar ishtiyaq un mein magar zaban kahan uf ye maal-e-justaju baad-e-kamal-e-justaju pahunche wahi jagah kahne lagi yahan kahan hadd-e-nazar ka hai fareb qurb-e-zamin-o-asman warna meri zamin se milta hai aasman kahan husn ka pasban ishq ishq ka pasban dil dil ka hai pasban hosh hosh ka pasban kahan manzil-e-ashiqi se kam rukne ki ja nahin 'iram' ye to abhi hai rah-guzar baith gae yahan kahan