apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh dil ki duniya to magar sab se juda rakh likh bayaz-e-marg mein har ja anal-haq aur kitab-e-zist mein bab-e-khuda rakh us ki rangat aur nikhregi khizan mein ye ghamon ki shakh hai is ko hara rakh aa hi jaegi udasi baal khole aaj apne dil ka darwaza khula rakh yun bhi bah jaega sab sail-e-bala mein apne ghar ke sab dar-o-diwar dha rakh na-muradi ka unhen bhi tajraba ho un ke raste mein bhi koi saneha rakh sansanati raat ke aane se pahle dil mein jati dhup ka tukda saja rakh besh-qimat hain ye dil ke zakhm 'pashi' in charaghon ko hawaon se bacha rakh