ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale kisi nigah pe thahre kisi badan se chale na jaane kis ke karam se khile kali dil ki sumum-e-dasht se uthe saba chaman se chale wo aae dil mein to yun jaise sham ka tara misal-e-mah sitaron ki anjuman se chale fasane chaak-e-gareban ke pad gae phike junun ki baat kabhi tere pairahan se chale hujum-e-subh ki tanhaiyon mein dub gae wo qafile jo andheron ki anjuman se chale