yahan-wahan se idhar-udhar se na jaane kaise kahan se nikle khushi se jine ki justuju mein hazar gham ek jaan se nikle ye kamtari bartari ke fitne ye aam-o-ala ke sard jhagde hamin ne nazo se dil mein pale hamare hi darmiyan se nikle khulus ki guftugu to chhodo kisi ko fursat nahin hai khud se miyan ghanimat samajh lo shikwe agar kisi ki zaban se nikle jo baad muddat mila kahin wo gile yun aankhon se us ki ubhre ke jaise patthar sadi purane kisi shikasta makan se nikle ye shahr-e-gham ki gali gali mein jo khwar phirte hain kuchh diwane kabhi hue hain jahan se ruswa kabhi tere aastan se nikle