apni to koi baat banae nahin bani kuchh hum na kah sake to kuchh us ne nahin suni yun to chahaar samt hai apne hisar-e-shab hum tirgi ko chhed ke late hain raushni nadida manzaron se tarashe hain khwab zar kab dar-khur-e-nigah koi manzar hai didani ochha tha war us ka magar hum na bach sake kisi zahr mein bujhai thi us shakhs ne ani har-dil-aziz wo bhi hai hum bhi hain khush-mizaj ab kya bataen kaise hamari nahin bani auron ki tarah hum bhi magar jhel jaenge sab zindagi samajhte hain jis ko wo jaan-kani 'bilqis' apni baat to sab se alag rahi na-guftani suni hai kahi na-shunidani