apne hi ghar mein yun hai mujhe apne ghar ki qaid darkar jaise chhat ko ho diwar-o-dar ki qaid yun zindagi ke sath rahi umr bhar ki qaid lazim ho jaise bahr-nazara nazar ki qaid aazad ho ke apna asar dhundhti phire manzur gar nahin hai dua ko asar ki qaid is dahr ke azal se ye lail-o-nahaar hain suraj ko din ki chand ko hai raat-bhar ki qaid aazad hain parind to parwaz ke liye ye to batao hai ki nahin baal-o-par ki qaid ai saz kyun na maut ko aawaz dijiye gar aap ko qubul nahin umr-bhar ki qaid