jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya aasman kat ke mitti pe zamin likkha gaya meri peshani damakti hai sitaron se siwa tere hathon se jahan harf-e-yaqin likkha gaya mauj-dar-mauj samundar se mulaqat hui khwab ko khwab sar-e-sath-e-zamin likha gaya aks-dar-aks jo likhna tha mujhe us ka jamal aaina-khana-e-hairat ke tain likkha gaya dekh kar us ko mere hosh thikane na rahe ism likhna tha kahin aur kahin likkha gaya han uthaya tha qalam karbala walon ke liye likhna chaha tha magar mujh se nahin likkha gaya donon sarmast hain ehsas-e-sukhan-sazi mein raushni aankh ko aur dil ko hazin likkha gaya yun to safhat siyah karta raha main 'azhar' chahta tha jo mera shauq nahin likkha gaya