bahut ruk ruk ke chalti hai hawa khali makanon mein bujhe tukde pade hain sigreton ke rakh-danon mein dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai hare jangal badalte ja rahe hain kar-khanon mein bhali lagti hai aankhon ko nae phulon ki rangat bhi purane zamzame bhi gunjte rahte hain kanon mein wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein zabanon par ulajhte doston ko kaun samjhae mohabbat ki zaban mumtaz hai sari zabanon mein