bujhi bujhi c tabiat ye rang lai hai ki aaj chaaron taraf meri jag-hansai hai nasim-e-subh bata tu zara khuda ke liye ye kis ke waste aakhir bahaar aai hai khuda hi jaane wo aaenge ya na aaenge salam bhej ke taqdir aazmai hai tajalli-e-rukh-e-zeba se hun agar mahrum meri khata nahin qismat ki na-rasai hai jahan ka gham to nahin hai magar mujhe 'khalid' khuda ka khauf bhi hai aur gham-e-khudai hai