apne jine ke hum asbab dikhate hain tumhein dosto aao ki kuchh khwab dikhate hain tumhein tum ne gharqab safine to bahut dekhe hain sar patakte hue sailab dikhate hain tumhein husn ka shor jo barpa hai zara thamne do ishq ka lahja-e-nayab dikhate hain tumhein mere phaile hue daman ke kabhi sath chalo munh chhupate hue ahbab dikhate hain tumhein chhat pe aa jao har ek kaam se farigh ho kar chandni raat ke mehrab dikhate hain tumhein kaise aankhon mein utarte hain lahu ke qatre kaise banta hai ye tezab dikhate hain tumhein tum zara pyas ki mearaj pe pahuncho to sahi regzaron mein bhi girdab dikhate hain tumhein ek maqsad ke liye amn ki tahriron mein khun se likkhe hue bab dikhate hain tumhein