tariq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistan na rahe meri bahaar ko andesha-e-khizan na rahe ye aarzu hai badal jae rasm-e-shahr-e-wafa udas husn na ho ishq sar-garan na rahe payam-e-wasl se dil bagh bagh ho jaen labon pe shikwa-e-be-mehri-e-butan na rahe tulu-e-mehr bade tuzk-o-ehtisham se ho ufuq siyahi-e-shab se dhuan dhuan na rahe samaaton pe musalsal ho naghmagi ka nuzul nazar mein zisht-manazir ka karwan na rahe masarraton ke pharere jahan mein lahraen gham-o-alam ke liye gosha-e-aman na rahe ba-ru-e-adl sabhi apna apna hissa len aur ehtimal-e-ghalat bakhshi-e-mughan na rahe