badi hi andheri dagar hai miyan jahan hum faqiron ka ghar hai miyan hai fursat to kuchh der mil baithiye judai se kis ko mafar hai miyan gharaunde yahan ret ke mat banao ki sail-e-hawa zor par hai miyan kabhi but-shikan the par ab khud-shikan ye ilzam bhi apne sar hai miyan to phir kaj-kulahi pe israr kyun agar sang-bari ka dar hai miyan koi bach nikalne ki surat nahin ye aaseb har mod par hai miyan to phir rukh badalne se kya faeda muqaddar jab andha safar hai miyan