dil aaina hai magar ek nigah karne ko ye ghar banaya hai us ne tabah karne ko gul-e-visal abhi dekha na tha ki aa pahunchi shab-e-firaq bhi aankhen siyah karne ko galim o takht utare hain ghaib se us ne mujhe faqir tujhe baadshah karne ko saje hain dasht o bayaban ajab qarine se tujhe sawar mujhe gard-e-rah karne ko mili mujhe teri ham-saegi so duniya mein tamiz-e-martaba-e-koh-o-kah karne ko damida har shajar-e-gard-baad nakhl-e-junun hamare chaak-e-gareban se rah karne ko dil-e-gudakhta o chashm-e-tar hi kafi hai futuh-e-mamlikat-e-mehr-o-mah karne ko