apne KHun ko KHarch kiya hai aur kamaya shahr

apne khun ko kharch kiya hai aur kamaya shahr
sare manzar tut gae aur kaam na aaya shahr

be-ghar hona be-ghar rahna sab achchha thahra
ghar ke andar ghar nahin paya shahr mein paya shahr

sat samundar par bhi aankhen mere sath na aain
chaaron jaanib khwab hain mere aur paraya shahr

kale shahr ko raushan rakkha shahr ke logon ne
diwanon ne diye jalae aur bujhaya shahr

shahr ke unche burj bhi mere qad se chhote the
chhote chhote logon ne kya khub banaya shahr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close