apne kuchh khwab bachane ke liye nikla tha main bhi is ghar se kamane ke liye nikla tha aaj dekhun to wahi chaaron taraf hai mere main ki jis gham ko bhulane ke liye nikla tha us se wabasta parindon ki sukunat bhi thi jis shajar ko main girane ke liye nikla tha mere apne bhi masail the yaqinan is mein log samjhe ki zamane ke liye nikla tha zindagi kab tujhe sine se lagaya main ne main to dastar bachane ke liye nikla tha rakh dekhi hai to pahchan hui hai us ki ghar se jo aag bujhane ke liye nikla tha aaj khud shahr-e-khamoshan mein hai soya 'asim' jo bhi auron ko jagane ke liye nikla tha