behoshiyon ne aur khabardar kar diya soi jo aql ruh ne bedar kar diya allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diwar kar diya ya rab ye bhed kya hai ki rahat ki fikr ne insan ko aur gham mein giraftar kar diya dil kuchh panap chala tha taghaful ki rasm se phir tere iltifat ne bimar kar diya kal un ke aage sharah-e-tamanna ki aarzu itni badhi ki nutq ko bekar kar diya mujh ko wo bakhshte the do aalam ki nematen mere ghurur-e-ishq ne inkar kar diya ye dekh kar ki un ko hai ranginiyon ka shauq aankhon ko hum ne dida-e-khun-bar kar diya