shab-e-gham ko sahar karna padega qayamat tak safar karna padega sawa neze pe suraj aa gaya hai ye din bhi ab basar karna padega ye aankhen sipiyan hain is liye bhi har aansu ko guhar karna padega bahut luta hai dil ko aagahi ne ise ab be-khabar karna padega kahan tak dar-ba-dar phirte rahenge tumhaare dil mein ghar karna padega sitare kaj-rawi par aa gae hain jahan zer-o-zabar karna padega mohabbat kaam hi aisa hai 'shahzad' na chahenge magar karna padega