dil ki maujon ki tadap meri sada mein aae daere karb ke phaile to hawa mein aae mere hathon hi ne aaina dikhaya tha mujhe kitne mushkil the taqaze jo dua mein aae hum gharibi mein bhi mear-e-safar rakhte hain girte padte hi sahi apni ana mein aae in se hum sher ki tasir badha lete hain kaise lahje tere aanchal ki hawa mein aae wo to pahchan ki mauhum nazar rakhta hai hum yunhi samne zakhmon ki qaba mein aae aakhiri sher ki manzil bhi kadi hai 'saqib' soch ke kitne safar zehn-e-rasa mein aae