apne riste hue zakhmon ki qaba laya hun zindagi meri taraf dekh ki main aaya hun kisi sunsan jazire se pukaro mujh ko main sadaon ke samundar mein nikal aaya hun kaam aai hai wahi chhanw ghani bhi jo na thi waqt ki dhup mein jis waqt main kumhlaya hun khairiyat puchhte hain log bade tanz ke sath jurm bas ye hai ki ek shokh ka ham-saya hun subh ho jae to us phul ko dekhun ki jise main shabistan-e-bahaaran se utha laya hun asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le ek mitti hui tahzib ka sarmaya hun