sharab-khana tera aisa intikhab nahin hai khawas pite hain sab ke liye sharab nahin hai shikar zulm ka jo hain unhin pe hai har shiddat wo jo hain zalim un par koi itab nahin hai ye tera farz hai saqi mile sabhi ko barabar hai tera mansab saqi koi khitab nahin hai yahan to koi nahin aadmi sabhi hain farishte mere alawa yahan par koi bhi kharab nahin hai farogh-e-kaifiyat-e-baada se hua hai ye shadab na padh ye chehra mera ye koi kitab nahin hai sarab wahima nazron ke samne maujud dhadak raha hai jo idrak mein sarab nahin hai