apne zauq-e-did ko ab kargar pata hun main un ka jalwa har taraf pesh-e-nazar pata hun main wo bhi din the jab mere dil ko thi teri justuju ye bhi din hai dil ko ab tera hi ghar pata hun main har qadam hai justuju ki rah mein dushwar-tar har qadam par gum-rahi ko rahbar pata hun main aa gaya hai ishq mein kaisa ye hairat ka maqam jis taraf jata hun un ko jalwa-gar pata hun main ab kahan meri nazar mein dahr ki ranginiyan ab to apne aap hi ko khud-nigar pata hun main maut se hoti hai 'shaida' zindagi ki parwarish har nafas mein ye haqiqat mushtahar pata hun main