sarab-e-zoam mein tha aasman pakadte hue zamin pe tifl gira hai dhuan pakadte hue saron pe tan gai dhup phir se tez hua rawa-rawi mein kai saeban pakadte hue faraaz-e-arsh se ek tutte sitare ne kiya ghubar mujhe kahkashan pakadte hue hadaf-shanas hua to ye waqia bhi hua wo tir tod raha tha kaman pakadte hue koi to rang hai mauj-e-sarab mein bhi ki main yaqin chhod raha hun guman pakadte hue ba-zoam-e-naz ku-e-be-kasi mein aa pahuncha ba-sad niyaz dar-e-dostan pakadte hue junun-e-shauq mein kante bhi phul lagne lage main zakhm zakhm hua titliyan pakadte hue ab is madad se to achchha hai dub jaun main wo dar raha hai meri ungliyan pakadte hue gilas toda gaya jis ada se is dil ka mujhe ghurur sa hai kirchiyan pakadte hue