apni aankhon ke sadaf ko husn ka gauhar na de sham ki viraniyan de subh ka manzar na de sath hai be-chehragi ke karwan ka silsila dosti ke aaine ko yaad ka jauhar na de sard rumani pahar ka jazba-e-takhliq hun mujh ko ayyam-e-guzishta ki koi chadar na de fikr-o-fan ka ek naya andaz hun is daur mein gard-e-rah-e-agahi hun aasman de ghar na de rafta-rafta maslahat ki nahr mein utrunga jab ai gham-e-dauran tu mujh ko wahm ka nashtar na de shaeri apni hai 'jami' ahd-e-nau ki dastan 'mir' ke aansu sahi khayyam ke tewar na de