apni aashufta mizaji ke samar bol pade main jo khamosh hua zakhm-e-jigar bol pade raat yaadon ke parindon ne bahut shor kiya jaise khwabida jaziron mein sahar bol pade dil ne khamosh mohabbat ki tahaarat sun li dam-e-rukhsat jo tere dida-e-tar bol pade un se din-raat badalne ka sabab jaanna tha shauq-e-taqlid mein gum shams-o-qamar bol pade pahle mismar hue khwab-gharaunde 'akhtar' phir hawaon se gale mil ke shajar bol pade