de ke dastak shabab aata hai bin-bulae hijab aata hai pahle aankhon mein khwab aata hai tab kahin inqalab aata hai phir to rahti nahin nadi bewa jab pahadon se aab aata hai saqiya tere baada-khane mein sirf izzat-maab aata hai kaise mil paegi hamein jannat waizon ko hisab aata hai aise aate hain wo meri jaanib jaise jam-e-sharab aata hai wo bhi aate hain baam par aise jis tarah mahtab aata hai un ke hisse mein aain tabiren mere hisse mein khwab aata hai din mein kar lo sabhi diye raushan un ke rukh par naqab aata hai tohfa denge tumhein jo phulon ka hum ko bhi intikhab aata hai tum chaloge jo simt-e-mai-khana pichhe 'panchhi'-janab aata hai