din-bhar suraj aag ugalta rahta hai chand bhi apne kaam mein uljha rahta hai jaane mujh mein kaun tadapta rahta hai main jita hun par wo marta rahta hai darwaze pe kundi latki rahti hai khidki se wo aata jata rahta hai khamoshi ki bhasha khub samajhta hai main to chup hun par wo sunta rahta hai mere sare baadal sukhe sukhe hain phir bhi aangan bhiga bhiga rahta hai us se mil kar khud se baaten karni hai mujh mein kaun ye mere jaisa rahta hai zehn ke sare tar ulajhne lagte hain dil bhi aksar bikhra bikhra rahta hai duniya-dari us ke bas ki baat nahin wo kone mein likhta padhta rahta hai main ghar mein hi rahta hun aksar apne ek sannata bahar pasra rahta hai